When will rent increase?

View this thread on: d.buzz | hive.blog | peakd.com | ecency.com
·@mahtabansari370·
0.000 HBD
When will rent increase?
<html>
<p>Hello Dosto, Aasha karta hoon aap log sab achhe honge, Waise dosto main sab se pahle aapko ye batana chahta hoon ki fir se toofan aane ki news arahi hai isliye aap thoda sambhal ke rahe. Ab kaam ki baat karte hai dosto pahle hi main aapko tenancy act ke baare me bahut kuch bata chuka hoon iss par maine 2 article bhi likhe hai jis ka link main niche de dunga.&nbsp;</p>
<p>&nbsp;https://steemitimages.com/DQmRvuMAFf6K1VmMavKTrLfVZtbvgBNdmWaMPxtbokyRE3e/1.jpg Image Source <a href="http://accommodationtimes.com/wp-content/uploads/2016/04/Landlords-to-get-the-market-rates-under-tenancy-laws.jpg">accommodationtimes.com</a> &nbsp;</p>
<p>Ab aage badhte hai aage main aap ko bahut kuch bataunga iss tenancy act ka isliye aage padhte rahe. Dosto main alag alag part me isliye batata hoon kyo ki post lamba rahta hai to koi nahi padhta isliye main tod tod kar batata hoon.&nbsp;</p>
<h3>New tenancy act ke tahat kab padhega rent?&nbsp;</h3>
<p>Dosto government ne kaha hai ki building ki dhacha jo hota hai na uske dekh bhaal karne ke liye dono hi jimmedar honge. Matlab makaan maalik aur kiraaydaar dono ko building ki dekh bhaal karni hogi. To dosto agar makaan maalik us building me koi kaam karata hai to wo 1 mahine me kiraaya badha sakta hai uski iski anumati di jaayegi. Aur dosto agar building me kuch kharabi ho rahi hai aur makaan maalik usko thik nahi kara raha hai to kiraya me kami kar sakte hai.&nbsp;</p>
<p>Dosto aaj ke liye bas itna hi ab aage me aapko aur bahut kuch jaankari dunga isliye post ko padhna na bhule aur pichle post ko yaad se padhe tabhi aapko aage ke post samajh me aayenge. Mujhe yakeen hai aap meri baat ko samjhenge aur dosto agar aapko kuch puchna ho to aap mujhe comment kar ke puch sakte hai.&nbsp;</p>
<ol>
  <li><a href="https://steemit.com/india/@mahtabansari370/these-states-are-considering-new-tenancy-act"><strong>These states are considering new tenancy act.</strong></a></li>
  <li><a href="https://steemit.com/india/@mahtabansari370/no-need-to-give-security-deposit-in-new-tenancy-act"><strong>No need to give security deposit in new tenancy act.</strong></a></li>
</ol>
</html>
👍 , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,